khun rulati rahi ek umr-e-shab-e-tar mujhe tab kahin ja ke mile subh ke aasar mujhe main na yusuf hun na ye shahr-e-zulekha yaro kyon chale aae ho le kar sar-e-bazar mujhe ghar mein lai to hai betabi-e-dil dekh zara kahin pahchan na len ye dar-o-diwar mujhe main to hun sarhad-e-imkan se guzarne wala pa sakegi na kabhi waqt ki raftar mujhe tahi daman hun magar ahl-e-hawas ke aage rokta hai lab-e-izhaar se pindar mujhe mere dushman to kabhi war na karte lekin mere apnon ne safi' kar diya lachaar mujhe