wo sanwar sakta hai maqul bhi ho sakta hai mera andaza meri bhul bhi ho sakta hai ab pas-e-abr hai jab abr se bahar nikla wo chamak sakta hai maqbul bhi ho sakta hai dur se dekha hai nazdik se bhi dekhunga phul sa lagta hai jo phul bhi ho sakta hai aaj ki shab bhi sitaron ne agar sath diya dil jo be-kar hai mashghul bhi ho sakta hai kyun samajhta hun ki aata hai wo meri khatir sair us shakhs ka mamul bhi ho sakta hai takht tabdil bhi ho sakta hai takhte mein kabhi apne ohde se wo mazul bhi ho sakta hai jaanta kaun tha 'khawar' wo darakhshan tara gir ke aankhon se kabhi dhul bhi ho sakta hai