khun se jab jala diya ek diya bujha hua phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua apne to ahad-e-shauq ke marhale sab aziz the hum ko visal sa laga ek diya bujha hua ek hi dastan-e-shab ek hi silsila to hai ek diya jala hua ek diya bujha hua shoala hawa-nazhad tha phir bhi hawa ke hath ne bas yahi faisla likha ek diya bujha hua mahfil-e-rang-o-nur ki phir mujhe yaad aa gai phir mujhe yaad aa gaya ek diya bujha hua mujh ko nashat se fuzun rasm-e-wafa aziz hai mera rafiq-e-shab raha ek diya bujha hua dard ki kaenat mein mujh se bhi raushni rahi waise meri bisat kya ek diya bujha hua sab meri raushni-e-jaan harf-e-sukhan mein dhal gai aur main jaise rah gaya ek diya bujha hua