kuchh yaqin sa guman sa kuchh hai jo bhi hai meri jaan sa kuchh hai fasle khatm ho gae lekin phir bhi ek darmiyan sa kuchh hai hum yahin par qayam karte hain is khandar mein makan sa kuchh hai hath mein hai mahaar-e-naqa-e-khak sar pe ek saeban sa kuchh hai dasht jaan mein wo khak udata hua ab bhi ek karwan sa kuchh hai khul gae us ki nusraton ke alam wo hawa mein nishan sa kuchh hai dekh neze ki is bulandi par ye koi aasman sa kuchh hai ret par wo padi hai mushk koi tir bhi aur kaman sa kuchh hai dekh andaz-e-be-zabani-e-gul apna tarz-e-bayan sa kuchh hai chal ke us ki gali mein dekhte hain shor aashuftagan sa kuchh hai