khun wirasat ka ragon mein fakhr ke qabil hua jab mere hi khak-dan se mera sar hasil hua har jazira barf ka meri ana ki mumlikat rah mein phir koh-e-na-malum kyun hail hua ret ke dariya se qaem thi ummid moajiza tishnagi mein jo qadam aage badha hasil hua saya pani mein chala jab mujh ko tanha chhod kar mera manzar hi mere ehsas ka qatil hua phir hawa ki mutthiyon se ret barsi sahn mein phir bikharne ka nazar ko zaiqa hasil hua tum ana ke zoam mein inkar-e-fan karte to ho aur agar is ahd ka main hi had-e-fasil hua