ahmaq nahin ki samjhen bura waqt tal gaya kuchh roz ke liye jo ye mausam badal gaya yak-lakht hanste log ye barham kyun ho gae shayad meri zaban se kuchh sach nikal gaya raazi the hum to jaan bhi dene ke waste kam-zarf le ke dil hi hamara machal gaya kya bolne ke hak ka uthaega faeda jo bhuk mein zaban hi apni nigal gaya mangega jaedad mein hissa ye ek roz filhaal chahe le ke khilaune bahal gaya ehsanmand chahe hamara na ho koi par hum gire to sara zamana sambhal gaya kanton pe ehtiyat se chalta tha aadmi in chamchamate farshon pe 'jaanib' phisal gaya