khunuk-joshi na karte jun saba gar ye butan hum se to misl-e-ghuncha-e-gul dil na jata raegan hum se phire us zulf-o-ru ke ishq mein donon-jahan hum se udhar kuffar phir gae sab idhar imaniyan hum se adu the mali aur sayyaad gulchin ne qayamat ki khuda lanat kare tinon pe chhuta gulistan hum se ujada girya-e-shor-e-junun ke waste hum ko wale gulshan ko aur aab-o-namak tha baghban hum se hamein to rasti jon tir hargiz ras aai nin hamesha tedhe hi rahte hain ye abru-kaman hum se aqab yaron ke sar par khak karte hum bhi jate hain raha jata nahin jon gard-e-rah-e-karwan hum se hamein tiflan to pattharon ki mohabbat se na bhulenge chale sahra ko hum phir gae bala se shahriyan hum se hamin tuk zabh kar le saya-e-gulbun mein jita rah chhudaya tu ne gar sayyaad gul ka aastan hum se maze mein dard-e-sar ke kab se mohtaj-e-dawa 'uzlat' abas ai sandali-rango hue ho sargiran hum se