wo naznin ada mein ejaz hai sarapa khubi mein gul-rukhan sun mumtaz hai sarapa ai shokh tujh nayan mein dekha nigah kar kar aashiq ke marne ka andaz hai sarapa jag ke ada-shanasan hai jin ki fikr aali tujh qad kun dekh bole yu naz hai sarapa kyun ho saken jagat ke dilbar tere barabar tu husn haur ada mein ejaz hai sarapa gahe ai iswi-dam yak baat lutf sun kar jaan-bakhsh mujh ko tera aawaz hai sarapa mujh par 'wali' hamesha dildar mehrban hai har-chand hasb-e-zahir tannaz hai sarapa