khurshid-ru ke mahr ki jis par nigah ho tale usi ka khalq mein rakhshanda-mah ho dushman hain din o dil ke butan dekh be-khabar is tarah kijo rabt ki jis mein nibah ho hargiz na aib-e-husn kahe kis ke munh pe saf kar aaina mera dil-e-raushan nigah ho rahta hai dil to us ke zanakhdan ke chah bich nin hai baid us ko bhi gar dil ki chah ho aasan siraat-e-hashr se ho ek pal mein par gar sath 'ishq'-e-asi ke fazl-e-ilah ho