khurshid-ru ki sohbat jo ab nahin to phir kab shabnam ki tarah qurbat jo ab nahin to phir kab zarre ki tarah mujh par ek mahr ki nazar kar dekhe wo mehr-e-talat jo ab nahin to phir kab joda hai zafrani us gul-badan ke bar mein khush ho meri tabiat jo ab nahin to phir kab aaluda-damani ko dhone ko muntazir hun barish de abr-e-rahmat jo ab nahin to phir kab is bagh mein do-roza hai ishq-e-zindagani gul ki tarah bashashat jo ab nahin to phir kab