khush bahut aate hain mujh ko raste dushwar se sar-phira hun main nahin darta kisi diwar se manzilon ko pal mein pichhe chhodta jata hun main raste bhi khauf khate hain meri raftar se khamushi se suraten mit jaengi manzar se kya kuchh nahin kahna kisi ko aaina-bardar se khushk aankhon se main takta hun kinare ki taraf mujh ko sairabi bulati hai samundar par se kya mera ghar bhi nahin haq mein ki main tanha rahun itni wahshat ho rahi hai kyun dar-o-diwar se aasmanon par padaw dalna to hai mujhe guftugu hoti rahegi sabit-o-sayyar se tum bhi ab kuchh aur socho is mohabbat ke siwa main bhi ab ukta gaya hun ek hi aazar se main sharifon se sharafat mein bhi aage hi raha main ne chaalaki bhi sikhi pae ke ayyar se raat-bhar is shahr mein wo sanehe hote hain 'zeb' dil dahal uthta hai mera subh ke akhbar se