mar jaane ki us dil mein tamanna bhi nahin hai andar se koi kahta hai jina bhi nahin hai gul ho gain shamen zara tum jao hawao shakhon pe koi tutne wala bhi nahin hai ai sang sar-e-rah malamat se guzar ja tera bhi nahin hai koi mera bhi nahin hai ahbab ki chahat pe shubh bhi nahin hota hum jaisa magar koi akela bhi nahin hai tu chhod gaya hai to koi gham na karenge is daur mein insan khuda ka bhi nahin hai ye kya ki khayalon se udi jati hai khushbu main ne to abhi tak use socha bhi nahin hai