KHush bahut hai ki KHush-guman bhi to hai

khush bahut hai ki khush-guman bhi to hai
rabt donon ke darmiyan bhi to hai

sar se pa tak wo aatish-e-khamosh
dida-e-nam dhuan dhuan bhi to hai

khema jalne ka raaz-e-sar-basta
koi dar-parda mehrban bhi to hai

shakh-saron pe e'timad bhi kam
chaar tinkon ka aashiyan bhi to hai

tez chalne pe ikhtiyar sahi
ham-safar koi na-tawan bhi to hai

hai qabile mein intishaar bahut
sar-phiron ka ye karwan bhi to hai

yan ki farshi salam hai mamnua
ye faqiron ka aastan bhi to hai

kab kashish thi bayan mein yun 'afzal'
ye shab-e-gham ki dastan bhi to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close