ehtiyatan koi jawab na de pyala be-zarf hai sharab na de daera-band mushk-bu ko sada ai dil-e-khanuman-kharab na de khatir-e-zud-ranj rakhta hun na-damida koi gulab na de hadse mein sharik the kitne mehrban jhut sach hisab na de khwab-e-aslaf khwab hai ab tak az-sar-e-nau mazid khwab na de kar-e-be-sud hai mujhe nahaq qad se uncha koi khitab na de jaanch haalat ke tanazur mein jurm ka faisla shitab na de kaun sunta hai kisi ka 'afzal' roz-o-shab dars-e-inqalab na de