KHush-baKHtiyon ke dil-nashin aasab tum to ho

khush-bakhtiyon ke dil-nashin aasab tum to ho
husn-e-karam ke paikar-e-zartab tum to ho

phaili hui hain fikr ki kirnon ki shokhiyan
charkh-e-jamal-o-husn ke mahtab tum to ho

sochon ke ratjagon pe hai ghaza bahaar ka
ranaiyon ki wadi-e-shadab tum to ho

saz-o-surod-e-ishq ke bajte hain tar tar
tanhaiyon mein dard ki mizrab tum to ho

taza hain teri yaad se sanson ke silsile
in silsilon ki mauj-e-samar-yab tum to ho

har talkhi-e-hayat ka zahrab pi gae
jis par jiye halawat-e-nayab tum to ho

ruswaiyon ke des mein bikte rahe zamir
namus-e-qaum khitta-e-punjab tum to ho

pighla saki na ibrat-o-ghairat ki aanch kuchh
uf munjamid se surat-e-barfab tum to ho

barbat ko tham dil ko pakad kar sukun se baith
mahfil mein 'ain' waqif-e-adab tum to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close