tu agar aata nahin apne KHayalon ko bhi rok

tu agar aata nahin apne khayalon ko bhi rok
bas chuke hain jo tasawwur mein jamalon ko bhi rok

yaad aate bite lamhon khush-khisalon ki bhi rok
raat ki tanhaiyon mein aahon nalon ko bhi rok

raqs farmane laga hai biphre sanpon ka hujum
surkh chehre pe machalte kale baalon ko bhi rok

pahle bhi chashmab ki jhilon mein ek sailab hai
aasman par mad-bhare barfab galon ko bhi rok

ishtiyaq-e-did mein fani hai sahraon ki ret
rah-nawardi mein ubharte gham ke chhaalon ko bhi rok

phir banaenge tujhe aghyar ka daryuza-gar
in riya-khu khush-nazar mashur chaalon ko bhi rok

zindagi ke raston par karte phirte hain shikar
nargisi aankhon ke matwale ghazalon ko bhi rok

sar-kashi mein jurm-o-istibdad mein mashghul hain
dandanate manchalon ko in razalon ko bhi rok

jo udate hain tamaskhur din ke aain par
aabru-e-din ki khatir jiyalon ko bhi rok

ek nazar ka umr bhar na de sake hargiz jawab
imtihan-e-ishq mein uljhe sawalon ko bhi rok

'ain' karta hai parastish zat mein mastur tu
pattharon ki but-parasti karne walon ko bhi rok


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close