khush-fahmi-e-hunar ne sambhalne nahin diya mujh ko meri ana hi ne phalne nahin diya chaha nae se riti-riwajon mein main dhalun lekin riwayaton ne hi dhalne nahin diya ek ek shai badalti gai mere aas-pas haalat ne mujhe hi badalne nahin diya chalna tha sath sath hamein umr-bhar magar na-paedar umr ne chalne nahin diya dil mai-kade ki samt chala tha magar use is raste pe aql ne chalne nahin diya anjam aarzu ka bura hai bas is liye dil mein kabhi charagh ye jalne nahin diya 'darwesh' be-qarar raha dil tamam-umr mauqa sukun ka ek bhi pal ne nahin diya