jab se kisi se dard ka rishta nahin raha jina hamara tab se hi jina nahin raha tere khayal-o-khwab hi rahte hain aas-pas tanhai mein bhi main kabhi tanha nahin raha aansu bahe hain itne kisi ke firaq mein aankhon mein ek bhi wasl ka sapna nahin raha darpesh aa rahe hain wo haalat aaj-kal apnon ko apnon par hi bharosa nahin raha nafrat ka zahr phaila hai lekin kisi mein aaj mil baith sochne ka bhi jazba nahin raha dar-o-madar-e-zindagi jis par tha wo bhi to jaisa samajhte the use waisa nahin raha ye nasl-e-nau hai itni mohazzab ki is mein aaj 'darwesh' guftugu ka saliqa nahin raha