khush-fahmiyon ke khel ki ab kya sabil hai kaghaz ki ek naw hai aur khushk jhil hai sar par uthae dhup ko suraj ki tarah chal manzil kahan ye silsila-e-sang-mil hai lashon ke dher mein abhi zinda to hun magar mere bhi sar pe udti hui ek chil hai saya bhi band mutthi mein rakhta hai bhinch kar uncha sa ye darakht nihayat bakhil hai main ghaw gahre paniyon ka hun na mujh se mil tu mujh mein dub jaegi nannhi si jhil hai darwaze khidki mujh pe 'musawwir' hain sab hi band sarma ka thithura chand hai aur shab tawil hai