marne ki pukhta-khayali mein jine ki khami rahne do ye istidlali tark karo bas istifhami rahne do ye tez-rawi ye tursh-rui chalne ki nahin hai dur talak shabnam-nazari shirin-sukhani aasuda-gami rahne do sau dasht samundar chhano par aate raho qarya-e-dil tak bhi bairuni hawa ke jhonkon mein ek mauj-e-maqami rahne do ab tanz pe kyun majbur karo hum ghair mulawwis logon ko fan pesh karo ye fahrist-e-asma-e-girami rahne do raftar par itni dad na do manzil na meri chhino mujh se az-rah-e-hunar mere hisse ki thodi nakaami rahne do jatlate phiro gar qad apna paimaish ki mohlat to na do is qamat-e-baala ke sadqe ye zud-qayami rahne do ab hum se pareshan-haalan ko kya amn-o-sukun ras aaega yunhi bohrani chalne do sara hangami rahne do ai 'saz' wagarna log tumhein thahraenge sanpon ka maskan is shahr-e-aks-gazida mein aaina-fami rahne do