khush hun ya dost se khafa hun main aaj-kal kuchh naya naya hun main tum pe sau jaan se fida hun main tum jise chaho us ko chahun main har ada par teri fida hun main aaina ban ke dekhta hun main un ko ye aarzu are tauba main kahun aarzu bhara hun main ai ata kosh kar atai nazar ai khata-posh be-khata hun main ibtida hi ghalat hai bismillah apna anjam sochta hun main ek nadan dost ki khatir dushmanon se mila hua hun main kasmapursi hai khak hone tak khak hote hi kimiya hun main ishq-bazi hai zinda-dar-gori maut se pahle mar chuka hun main kisi surat bhi kaamyab nahin kis nirase ka muddaa hun main hijr mein mausam-e-hujum-e-gul aur diwana ban gaya hun main mujh ko kyun jaante ho mustaghni nahin bando nahin khuda hun main ishq ne kar diya nikamma sa ab tere kaam ka bana hun main talab-e-haq hai aise ijz ke sath jaisa khairaat mangta hun main abhi sab kuchh abhi nahin kuchh bhi ai safi' kya bataun kya hun main