sawal sakht tha dariya ke par utar jaana wo mauj mauj magar khud mera bikhar jaana ye kya khabar tumhein kis rup mein hun zinda main mile na jism to sae ko qatl kar jaana pada hun yakh-zada sahra-e-agahi mein hunuz mere wajud mein thodi si dhup bhar jaana kabhi to sath ye aasib-e-waqt chhodega khud apne sae ko bhi dekhna to dar jaana jo chahte ho sahar ko nai zaban mile to pichhli shab ke charaghon ko qatl kar jaana hamare ahd ka har zehn to nahin jamid kisi daricha-e-ehsas se guzar jaana 'faza' tujhi ko ye saffaki-e-hunar bhi mili ek ek lafz ko yun be-libas kar jaana