khush-jamal aate aate aata hai be-misal aate aate aata hai chand khud wasl ki kare khwahish ye kamal aate aate aata hai roz didar-e-yar ho jis mein aisa sal aate aate aata hai jo pari-wash hon un ke honton pe dil ka haal aate aate aata hai dil ki aawargi pe bhi 'amir' e'tidal aate aate aata hai