khush-qismat hain wo jo ganw mein lambi tan ke sote hain hum to shahr ke shor mein shab-bhar apni jaan ko rote hain kis kis dard ko apnaen aur kis kis zakhm ko sahlaen dekhti aankhon qadam qadam par kai hawadis hote hain dil ki dilli lut gai is ke aiwanon mein ghadar machi khuddari ke mughal shahzade shahr mein thaliya dhote hain khush-lahnon ke liye gulshan bhi kunj-e-qafas ban jae to jabr ke gun gate hain ya naghmon mein dard samote hain sham ne din ka sath chhudaya raat ne dasht mein aan liya aise safar mein rahgiron par sans bhi dubhar hote hain main to apni jaan pe khel ke pyar ki bazi jit gaya qatil haar gae jo ab tak khun ke chhinte dhote hain dil ke ziyan ka sabab kya puchho un tufanon ko dekho jin ke bhanwar sahil ke safinon ko bhi aan dubote hain 'parwez' aaj nahin milti hai khum ke bhaw talchhat bhi is par turra ye hai ki saqi nashtar-e-tan chubhote hain