ashk ban kar jo chhalakti rahi mitti meri shoale kuchh yun bhi ugalti rahi mitti meri mere hone ka sabab mujh ko batati lekin mere pairon mein dhadakti rahi mitti meri kuchh to baqi tha meri mitti se rishta mera meri mitti ko tarasti rahi mitti meri dur pardesh ke tare mein bhi shabnam ki tarah meri aankhon mein chamakti rahi mitti meri lok-nrityon ke kai tal suhane ban kar mere pairon mein thirakti rahi mitti meri sirf roti ke liye dur watan se apne dar-ba-dar yun hi bhatakti rahi mitti meri main jahan bhi tha mera sath na chhoda us ne zehn mein mere mahakti rahi mitti meri koshishen jitni bachane ki ise ki main ne aur utni hi dhadakti rahi mitti meri