khush raha jae na ranjur hua jata hai dastaras se meri kya dur hua jata hai hath ek zakhm laga tha jo rah-e-ulfat mein pas manzil ke wo nasur hua jata hai munh ke bal khak pe ghash kha ke gira to ye khula faqa-masti se bhi makhmur hua jata hai aql kahti hai ki haalat se samjhauta kar aur ye dil shah-e-mysore hua jata hai aaino puchh lo aakar mere dil se kaise sang-bari ke bina chur hua jata hai jaane kya khinch ke lai hai meri binai pas wala bhi bahut dur hua jata hai ek zara nur ki barish ke gire kya qatre koh-e-zulmat bhi ab tur hua jata hai raushni hum ne to suraj ki nichodi 'shahbaz' chehra kyon chand ka be-nur hua jata hai