manzar-e-hijr aisa chubha rah gaya apni aankhon ko main nochta rah gaya koi gham rahnumai ko aaya nahin ek aansu bhatakta hua rah gaya bahte bahte nadi tham gai ashk ki ek chehra magar tairta rah gaya bose nadiyon ke bhi kaam aae nahin pyas se lab sulagta hua rah gaya us ne hathon ko jhatka mere is tarah apne hathon ko main chumta rah gaya phul ne kar liya tai safar mil ka aur patthar lahu thukta rah gaya hum ne nazron mein khud bediyan dal din ek jalwa hamein khinchta rah gaya is qarine se kuchla gaya mera dil naqsh har aah par naqsh-e-pa rah gaya khun-e-dil par mere us ka dil aa gaya hath malta wo rang-e-hina rah gaya jaane tahrir kya kah gai jo qalam ungliyon ko meri chumta rah gaya dastaken de ke chalti bani khamushi dar mera raat bhar bolta rah gaya aa ke aankhon mein atki rahi meri jaan aur main rasta dekhta rah gaya wo pari-zad thi hath aai nahin aur 'shahbaz' par marta rah gaya