khush-rang aasman uda le gai hawa khushbu ka saeban uda le gai hawa kante ulajh ke daman-e-hasti se rah gae phulon ki dastan uda le gai hawa aankhon mein ab chamakte dar-o-baam hain kahan khwabon ka wo makan uda le gai hawa dil ke talluqat ki khushbu kahin nahin marbut khandan uda le gai hawa be-samt zindagi meri be-samt hi rahi manzil ka har nishan uda le gai hawa thi jis ke dam se jalwa-e-tahzib-e-nau yahan kab ka wo khak-dan uda le gai hawa qismat se aa gae the hum ahl-e-sitam ke hath wo tir wo kaman uda le gai hawa tufan se khelti hui kashti guzar gai har chand baadban uda le gai hawa zahir hua jo matla-e-dil par yaqin ka nur pal bhar mein har guman uda le gai hawa badla tha jin se 'naz' mera lahja-e-ghazal wo tarz wo bayan uda le gai hawa