sukut us ka hai sabr-e-jamil ki surat main jis ke lab pe tha sahar-e-tawil ki surat kisi ko meri zarurat nahin so be-masraf gada hua hun kisi ghar mein kil ki surat main rahta khema-e-jaan ab kahan ye nasb karun chatakh raha hai badan khushk jhil ki surat utar gaya hai payambar koi mere andar thahar gaya hun main dariya-e-nil ki surat