khushamad kar ke wo pahron kabhi mujh ko manata hai use meri tarah se chahne ka dhang aata hai jahan-e-husn ki ranaiyon mein shauq ka aalam shararat jab bhi dil karta hai dilbar muskuraata hai ba-sad lutf-o-karam le kar mujhe jata hai dariya tak dubo kar mujh ko khud bhi wo usi mein dub jata hai ba-waqt-e-khas mujh ko munkashif karta hai wo mujh par wo apni shan-e-yaktai ka jalwa yun dikhata hai lakiren mere hathon ki yakayak jagmagati hain mere hathon mein jis lamha tumhaara hath aata hai mujhe is qism ki koi shikayat hi nahin us se jalata hai kudhata hai satata hai rulata hai yahi qissa hai maut-o-zindagi ka ai mere hamdam koi apni adaen dil-ruba ke rukh dikhata hai 'suhail' is tarah likhta hai wo khud-arai ka qissa wo apna nam likh kar phir tumhaara nam lata hai