log kuchh rah-e-mohabbat mein thahar jaenge hum kahan wo hain jo khatraat se dar jaenge jaante hi nahin ye zakhm diye hain kis ne log dete hain tasalli ki ye bhar jaenge us ne ye kah ke bandhai hai meri himmat-e-dil aae hain gham ke zamane ye guzar jaenge der se aaenge wo dil mera kahta hai yahi ulte munh par kai ilzam wo dhar jaenge us ke aane ke to imkan nazar aate hi nahin isi ummid mein sab sham sahar jaenge thodi si dar-e-mohabbat ki zarurat hai 'suhail' jo jarasim hain nafrat ke wo mar jaenge