khushbu-e-dard ke baghair rang-e-jamal ke baghair kaise guzar gai hayat hijr-o-visal ke baghair in mein tera hi rang hai in mein tera hi rup hai phulon ki kya misal dun teri misal ke baghair meri talab ko padh liya us ki nigah-e-tez ne sau sau hain uzr us ke pas mere sawal ke baghair tu mera hausla to dekh phir hun usi ke ru-ba-ru tir-o-tabar hain us ke pas aur main dhaal ke baghair badh ja tu mujh ko raund kar manzil-e-nau ki le khabar tera uruj hai muhaal mere zawal ke baghair 'pashi' wo dil ka shahr ho dasht ho ya wo bahr ho raushan nahin koi jagah un ke jamal ke baghair