mumkin hai ki milte koi dam donon kinare ek mauj ke muhtaj the hum donon kinare yun aankh jhapakta nahin bahta hua pani manzar mein na ho jaen baham donon kinare aabaad hamesha hi rahega ye samundar rakhte hain machheron ka bharam donon kinare ta-umr kisi maja-e-khush-rau ki hawas mein bedar rahe dam hama-dam donon kinare khulti hai yahan aa ke mere khwab ki wusat hote hain meri aankh mein zam donon kinare ye fasla mitti se kabhi tai nahin hoga dariya ki hain wusat pe qasam donon kinare sab sair ko niklenge sar-e-sahil-e-har-khwab sayyahon ke chumenge qadam donon kinare kashti ki tarah umr khizar-gir hai 'azar' hasti ke hain maujud-o-adam donon kinare