khushbu hai shararat hai rangin jawani hai yaadon ke paristan mein shishe ki kahani hai mazi ki haqiqat hai is daur mein afsana sita bhi kahani hai mariyam bhi kahani hai dushman se khatar walo lamhon pe nazar rakhna har lamha-e-hasti bhi talwar ka pani hai honton ka mahak uthna aanchal ka dhalak jaana in pak gunahon ki tarikh purani hai is shokh ke matawalo rag rag se lahu mango patthar pe gham-e-dil ki taswir banani hai barsat mein bhiga hai doshiza badan us ka naseh ko bhi bulwa lo ab aag mein pani hai tarikh-e-badayun mein maruf sukhan-war hain 'saifi' ki nazar lekin girwida-e-'fani' hai