charagh baqi raha na ab aaina rahega magar shaguft-e-jamal ka silsila rahega hazar chaukas rahin kadi tirgi ke dai mere tasawwur mein ek rauzan khula rahega yaqin aaya hai aaj alwah-e-sang padh kar ki is nagar mein bas ek nam-e-khuda rahega yahi rahega agar meri be-kasi ka aalam duaen bach paengi na dast-e-dua rahega siyah padne lagegi sham-e-visal ki zau khila hua raat-bhar jo rang-e-hina rahega meri tarah nind aa nahin paegi use bhi main jaanta hun wo subh tak jagta rahega kahan mitane se mit sakega wo naqsh dil se ghubar sa aaine pe ek aks ka rahega khayal rahta hai nind mein ab usi pari ka jo phul ab shakh par khilega khila rahega safar ho patal ka ki sair-e-falak ho 'sajid' jahan rahunga zamin se rabta rahega