khushbu ka jism nur ka paikar badal gaya shabnam ki sard aag se patthar pighal gaya titli ke pichhe daudte bachche ko kya mila hathon mein rang rah gaya panw phisal gaya aanchal mein dhup zulf mein shoalon ki aanch hai jaen kahan ki pyar ka mausam badal gaya mazi ki khanqah se bahar to dekhiye khwabon ki rut chali gai sikka badal gaya apna sa ye koi pas-e-aina kaun hai aankhon mein aaj kis liye sawan machal gaya diwana chikh chikh ke malbe pe so gaya pichhle baras yahin tha mera ghar ki jal gaya phir aaj us ke lams mein jakda hua hun main phir aaj khwahishon ka samundar ubal gaya