ummid ke diye ki mukhalif hawa bhi hai ladne ka aandhiyon se magar hausla bhi hai jaane ko tere shahar se tayyar hain magar hum ja nahin sakenge hamein ye pata bhi hai hum ne bhi zulmaton ko mitaya hai apne taur suraj ke sath sath hamara diya bhi hai koi to hai jo khana-e-hasti mein hai muqim aawaz mein hamari wahi bolta bhi hai ummid-e-subh-e-wasl ka dam tutne laga kuchh kah shab-e-firaq teri intiha bhi hai chalte chalo ki manzilen aa kar milengi khud kuchh dar hue hain band to ek dar khula bhi hai hum khud-pasandiyon se nikalne lage 'shajar' hum sochne lage hain hamara khuda bhi hai