khushbu ki tarah shab ko machalta tha gul-badan bistar se chun raha hun main tute hue batan khak-e-shifa ke nam se mitti ko bech kar kya mauj kar rahe hain imaman-e-fikr-o-fan dekhunga main bhi chakh ke zara zahr ka maza tu apne sath sath mera bhi to kar jatan warna phir un ko chain se jine na denge log shorafa ke waste bhi hai lazim kamina-pan ab jins mein nahin rahi takhsis rang ki donon taraf hi siti bajate hain pairahan lab par lachak rahi hai lipstick khulus ki make-up ke bojh se hai pareshan husn-e-zan loban ke dhuen mein tasawwuf ke zikr par paudon ki tarah hilte rahe ahl-e-anjuman is shan-e-ehtiyat ke qurban jaiye koshish ye kar rahe hain ki maila na ho kafan