nae libas ko hum tar-tar kya karte mili thi bhik mein fasl-e-bahaar kya karte hum apne zakhm-e-tamanna shumar kya karte tamam umr yahi karobar kya karte jab aaftab kai apni dastaras mein rahe tumhin kaho ki charaghon se pyar kya karte hamare hath mein patthar the phal girane ko hum aandhiyon ka bhala intizar kya karte kabhi hum apni wafaon se mutmain na hue nigah-e-yar tujhe sharmsar kya karte hamara dard bhi kuchh tum se mukhtalif to na tha hum ahl-e-zarf the chikh-o-pukar kya karte unhen bhi apni khushi thi aziz ai 'asrar' jo mera dil na dukhate to yar kya karte