KHushbuon ka har taraf ambar hai

khushbuon ka har taraf ambar hai
koi to hai jo pas-e-diwar hai

chhanw mein kaise thaharti ek pal
dhup bhi to sahab-e-kirdar hai

hai safar khushiyon ka lekin zindagi
sar pe ek latki hui talwar hai

kaun kis ki ab masihai kare
zehn hi is ahd ka bimar hai

qad badha den jis ka jhuti shohraten
aaj wo sab se bada fankar hai

gham mile hain jab se hum ko aap ke
hum hain aur khushiyon ka karobar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close