ishq janmon ka hai safar shayad khatm hoga na umr bhar shayad aaj kachcha ghada hai naw meri par lag jaun dub kar shayad harf-e-matlab suna ke ro dena kaam kar jae chashm-e-tar shayad khud ko hum barha pukar aae aaj hum bhi nahin the ghar shayad aur karni hai justuju apni aur phirna hai dar-ba-dar shayad kaun pagal ko ku-ba-ku dhunde phir raha ho nagar nagar shayad shab gae uth ke yaad kar us ko yun duaon mein ho asar shayad aa ke manzil pe so gaya rahi khatm hai bas yahin safar shayad ban sanwar kar raha karo 'hasrat' us ki pad jae ek nazar shayad