khushi apni na ab to lautti malum hoti hai unhen mil kar unhen ki ho gai malum hoti hai asiran-e-qafas rone se kya sayyaad chhodega kisi ko kab kisi ki bekasi malum hoti hai hamari sada-lauhi dekhiye rah-e-mohabbat mein kisi ki dushmani bhi dosti malum hoti hai agar tum ne na pahchana to kya ab ranj-e-furqat mein mujhe apni bhi surat ajnabi malum hoti hai chale aao meri tanhaiyon par khandan hain anjum barasti aag si ye chandni malum hoti hai kahin par baith kar aaram ki lo sans na-mumkin mujhe ek qahr si ye zindagi malum hoti hai hazaron manzilen tai ho gain is ke tufail 'afat' meri rahbar meri diwangi malum hoti hai