KHushi hai apni na koi malal hai apna

khushi hai apni na koi malal hai apna
wo be-dili hai ki jina muhaal hai apna

na wo visal ke qisse na hijr ka rona
bada ajib sa kuchh din se haal hai apna

nigah-e-shauq ki is ko abhi kahan parwa
abhi wo shakhs asir-e-jamal hai apna

meri tarah bhi koi zabt-e-gham se kaam na le
ki apne-ap se poshida haal hai apna

hum aise sahab-e-fan aur ye shahr-e-na-pursan
agar hain zinda to ye bhi kamal hai apna

jo wo nahin na sahi yaad hi sahi us ki
koi to hai jise 'khawar' khayal hai apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close