zindagi husn se tabir bhi ho sakti thi

zindagi husn se tabir bhi ho sakti thi
chandni dasht pe tahrir bhi ho sakti thi

be-bas jada-e-pur-khar pe lai mujh ko
bebasi panw ki zanjir bhi ho sakti thi

ek aawaz-e-tilismat mein dubi aawaz
aisi aawaz ki taswir bhi ho sakti thi

ek saya pas-e-diwar bhi lahraata tha
sansani itni hama-gir bhi ho sakti thi

bhagte bhagte sab rang samete hum ne
waqt ka pher hai takhir bhi ho sakti thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close