KHushi ke bhi gham mein nishan dekhta hun

khushi ke bhi gham mein nishan dekhta hun
andhere mein parchhaiyan dekhta hun

wahin un ko main be-takan dekhta hun
baghair aankh uthae jahan dekhta hun

nigah-e-tajassus se hota hun nadim
main jab khud mein un ko nihan dekhta hun

adab kar mazaq-e-nazara adab kar
nazar ko bhi kyon darmiyan dekhta hun

jabin ki taraf aastan badh raha hai
ye main aaj khud ko kahan dekhta hun

wo jab dekhte hain kabhi meri jaanib
to main jaanib-e-asman dekhta hun

jo apni jagah khud qafas ban gae hain
kuchh aise bhi main aashiyan dekhta hun

bahut rahbar-o-rahnuma aae lekin
jahan tha wahin karwan dekhta hun

natija bhi jis ka 'shifa' imtihan hai
ajab aaj ka imtihan dekhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close