mahw-e-khwab-e-haal hain tabir-e-mustaqbil se dur khufta-zehni ne kiya hai kis qadar hasil se dur kuchh khabar bhi hai tujhe o gosha-gir-o-moatakif rah-rau kitne bhatak kar ho gae manzil se dur asl mein tu apne dil hi se nahin hai ba-khabar warna ai nadan nahin hai koi bhi shai dil se dur niyyat-e-sadiq salamat jazba-e-kaamil ba-khair dur hai kab tum se manzil kab ho tum manzil se dur zindagi hai ek musalsal soz-e-paiham iztirab sai-e-hasil se qarib aur sai-e-la-hasil se dur dil mein hai azm-e-musalsal azm mein paiham tadap hain wahi kuchh pas manzil ke jo hain manzil se dur ai 'shifa' aasaniyan milna koi aasan nahin mushkil aati hai to hoti hai badi mushkil se dur