KHushi ke din hon to ujla libas sab pahnen

khushi ke din hon to ujla libas sab pahnen
aur ek hum ki wahi jama-e-taab pahnen

utaren apne badan se akele-pan ki dhup
kisi nigah ko odhen kisi ke lab pahnen

ba-waqt-e-subah pahan lenge phir labaada-e-khushk
nam-e-visal hi achchha hai shab ki shab pahnen

kharida aur sulaya bhi istiri bhi kiya
magar samajh nahin aati wo suit kab pahnen

ajib in ke rawayyon mein bad-tamizi hai
ye ahl-e-shahr kabhi jama-e-adab pahnen

pahanne ki hamein aazadi mil rahi hai magar
samaj jis ko samajhta hai ma-wajab pahnen

hamare dil ne gawara nahin kiya 'yawar'
hum us ke hijr mein pairahan-e-tarab pahnen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close