main rifaton ki anokhi misal hone laga

main rifaton ki anokhi misal hone laga
ye aasman mere kandhon ki shaal hone laga

fazaen giton ki furqat mein banjh hone lagin
shajar gire to parindon ka kal hone laga

ghadi ghadi nai baaton ki khoj hone lagi
hamara ahd mujassam-sawal hone laga

wara-e-jism jo kuchh fasle the mitne lage
dil is ada se sharik-e-visal hone laga

nazar ke chaaron taraf ratjagon ki badh lagi
kisi se khwab mein milna muhaal hone laga

main chahta tha ki duniya ko tere jaisa lagun
so tere qaul-o-amal ki misal hone laga

zamane bhar ke dukhon se rihai milne lagi
teri nazar ka koi yarghamal hone laga

ise hamari koi baddua lage na lage
khud is nizam ka chalna muhaal hone laga

jo ahl-e-harf the kam kam hi rah gae 'yawar'
hamare shahar mein qaht-ur-rijal hone laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close