KHushi ke waqt bhi wo lag raha tha roya hua

khushi ke waqt bhi wo lag raha tha roya hua
tha bagh-e-wasl mein furqat ka bij boya hua

wo raat khwab mein aaya hua tha milne mujhe
mera nasib tha bedar main tha soya hua

naya libas kafan thodi hai jo mil jae
so hum ne id pe pahna libas dhoya hua

wo mere samne hai aur phone mein gum hai
mila hai barson ka khoya hua bhi khoya hua

tu jis ki lash ko ab jhil se nikalta hai
wo bahr-e-gham mein tha pahle tera duboya hua

sitamgaro ye sazaon ki fasl kato ab
kisi ne khun se tha inqalab boya hua

tu yun samajhta hai haqdar khud ko shohrat ka
tujhe mare hue arsa 'nabil' goya hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close