likha hua hai mohabbaton ki zabur mein intizar karna ye puchhna bhi qusur hai kis qusur mein intizar karna wo tez raftar kuchh musafir jo jald-bazi mein mar gae hain hai hashr tak ab unhen musalsal qubur mein intizar karna nasha na karna ki jaane ho jae hijr mein kab koi karamat so rah ke pure hawas pure shuur mein intizar karna ye kya ghazab hai ki qurb hasil hai par nahin ikhtiyar hasil hai hum ko yani tera hi tere huzur mein intizar karna wagarna tanhai ki siyah raat dil ki binai chhin legi so tum hamara sunahri yaadon ke nur mein intizar karna tawil din aur saron pe suraj badan pasine mein gharq yani saza hi hoga saza ka yaum-e-nushur mein intizar karna wo ishq ho ya husul-e-shohrat khudi ka irfan ho ya kamana mujhe pada zindagi ke sare umur mein intizar karna har ek bayan mein suna raha hai wo sabr karne ke hi fazael khatib ko pad raha hai jo shauq-e-hur mein intizar karna 'nabil' ho jate hain jahan mein bahut se log is liye bhi pagal giran guzarta nahin hai zehni futur mein intizar karna